muddaton dekh liya chup rah ke
muddatoñ dekh liyā chup rah ke
aao kuchh un se bhī dekheñ kah ke
is taġhāful pe bhī allāh allāh
yaad aatā hai koī rah rah ke
hai ravānī kī bhī had ik āḳhir
mauj jā.egī kahāñ tak bah ke
sach to ye hai ki nadāmat hī huī
raaz kī baat kisī se kah ke
muddaton dekh liya chup rah ke
aao kuchh un se bhi dekhen kah ke
is taghaful pe bhi allah allah
yaad aata hai koi rah rah ke
hai rawani ki bhi had ek aaKHir
mauj jaegi kahan tak bah ke
sach to ye hai ki nadamat hi hui
raaz ki baat kisi se kah ke
- Ghazal Encyclopaedia
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.