mujhko charagh-e-sham ki surat jala ke dekh
mujh ko charāġh-e-shām kī sūrat jalā ke dekh
aa.e añdherī raat mujhe aazmā ke dekh
maujeñ kabhī to hāreñgī tere yaqīn se
sāhil pe roz ek gharauñdā banā ke dekh
TuuTī huī muñDer pe chhoTā sā ik charāġh
mausam se kah rahā hai ki āñdhī churā ke dekh
maanā ki maiñ hazār fasīloñ meñ qaid huuñ
lekin kabhī ḳhulūs se mujh ko bulā ke dekh
mujh ko charagh-e-sham ki surat jala ke dekh
aae andheri raat mujhe aazma ke dekh
maujen kabhi to haarengi tere yaqin se
sahil pe roz ek gharaunda bana ke dekh
TuTi hui munDer pe chhoTa sa ek charagh
mausam se kah raha hai ki aandhi chura ke dekh
mana ki main hazar fasilon mein qaid hun
lekin kabhi KHulus se mujh ko bula ke dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.