Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhse uncha tera qad hai, had hai

Jeem Jazil

mujhse uncha tera qad hai, had hai

Jeem Jazil

MORE BYJeem Jazil

    mujh se ūñchā tirā qad hai, had hai

    phir bhī siine meñ hasad hai? had hai

    mere to lafz bhī kauḌī ke nahīñ

    terā nuqta bhī sanad hai, had hai

    terī har baat hai sar āñkhoñ par

    merī har baat rad hai, had hai

    'ishq merī tamannā to nahīñ

    terī niyyat bhī to bad hai, had hai

    zindagī ko hai zarūrat merī

    aur zarūrat bhī ashad hai, had hai

    be-tahāsha haiñ sitāre lekin

    chāñd bas ek 'adad hai, had hai

    ashk āñkhoñ se ye kah kar niklā

    ye tire zabt had hai? had hai

    rok sakte ho to roko 'jāzil'

    ye jo sāñsoñ rasad hai, had hai

    mujh se uncha tera qad hai, had hai

    phir bhi sine mein hasad hai? had hai

    mere to lafz bhi kauDi ke nahin

    tera nuqta bhi sanad hai, had hai

    teri har baat hai sar aankhon par

    meri har baat hi rad hai, had hai

    'ishq meri hi tamanna to nahin

    teri niyyat bhi to bad hai, had hai

    zindagi ko hai zarurat meri

    aur zarurat bhi ashad hai, had hai

    be-tahasha hain sitare lekin

    chand bas ek 'adad hai, had hai

    ashk aankhon se ye kah kar nikla

    ye tere zabt ki had hai? had hai

    rok sakte ho to roko 'jazil'

    ye jo sanson ki rasad hai, had hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now