mujhe hasil kamal-e-guftugu hai
mujhe hāsil kamāl-e-guftugū hai
ye maiñ huuñ yā mire lahje meñ tū hai
junūn-e-ābla-pā.ī Thahar jā
abhī barham mizāj-e-justujū hai
kisī din to had-e-imkāñ meñ hogā
tasavvur meñ jo shahr-e-ārzū hai
asar-andāz hogā zehn-o-dil par
jo sannāTā fazā meñ chār-sū hai
zabāñ par hī nahīñ harf-e-tamannā
mirā dil bhī sharīk-e-guftugū hai
har ik chehra tar-o-tāza milegā
jahāñ tak bhī hisār-e-rang-o-bū hai
muhāfiz hai mirī achchhā.iyoñ kā
vo ā.īna jo mere rū-ba-rū hai
mujhe hasil kamal-e-guftugu hai
ye main hun ya mere lahje mein tu hai
junun-e-abla-pai Thahar ja
abhi barham mizaj-e-justuju hai
kisi din to had-e-imkan mein hoga
tasawwur mein jo shahr-e-arzu hai
asar-andaz hoga zehn-o-dil par
jo sannaTa faza mein chaar-su hai
zaban par hi nahin harf-e-tamanna
mera dil bhi sharik-e-guftugu hai
har ek chehra tar-o-taza milega
jahan tak bhi hisar-e-rang-o-bu hai
muhafiz hai meri achchhaiyon ka
wo aaina jo mere ru-ba-ru hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.