Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

munh na Dhanko ab to surat dekh li

Rind Lakhnavi

munh na Dhanko ab to surat dekh li

Rind Lakhnavi

MORE BYRind Lakhnavi

    muñh na Dhāñko ab to sūrat dekh

    dekh ai hūr-e-tal.at dekh

    shakl badlī aur sūrat ho ga.ī

    ik nazar jis ne vo sūrat dekh

    ek but sajda nahīñ kartā tujhe

    bas ḳhudāyā terī qudrat dekh

    hai ayaañ hāl-e-sag-e-as.hāb-e-kahf

    jānvar ādamiyyat dekh

    chaar din bhī to na tum se nibh sakī

    aap sāhab-salāmat dekh

    jānte the ham na iizā hijr

    vo bhī sāhib badaulat dekh

    ghūrte haiñ ab nigāh-e-qahr se

    chaar din chashm-e-ināyat dekh

    kyuuñ ajal ab zahr pisvātā huuñ maiñ

    raah terī ek muddat dekh

    khul ga.ī bande pe qadr-o-manzilat

    thī jo sāhib haqīqat dekh

    ke ghar jhūToñ na pūchhī baat tak

    bas tirī jhūTī mohabbat dekh

    us se kah 'ādat se jo vāqif na ho

    dekh ḳhū terī ḳhaslat dekh

    bahr-e-hastī meñ faqat misl-e-habāb

    hai mujhe ik dam mohlat dekh

    aap hairāñ hogā apne husn

    aa.ine meñ gar vo sūrat dekh

    chāñdnī rātoñ meñ chillātā phirā

    chāñd jis ne vo sūrat dekh

    phir vahī hai boriyā aur apnā faqr

    chaar din jāh-o-hashmat dekh

    kyuuñ churātā hai vo kāfir mujh se aañkh

    kyā nigāh-e-chashm-e-hasrat dekh

    yaad aayā 'rind' vo paimāñ-shikan

    gar kahīñ bāham mohabbat dekh

    munh na Dhanko ab to surat dekh li

    dekh li ai hur-e-talat dekh li

    shakl badli aur surat ho gai

    ek nazar jis ne wo surat dekh li

    ek but sajda nahin karta tujhe

    bas KHudaya teri qudrat dekh li

    hai ayan haal-e-sag-e-ashab-e-kahf

    jaanwar ki aadamiyyat dekh li

    chaar din bhi to na tum se nibh saki

    aap ki sahab-salamat dekh li

    jaante the hum na iza hijr ki

    wo bhi sahib ki badaulat dekh li

    ghurte hain ab nigah-e-qahr se

    chaar din chashm-e-inayat dekh li

    kyun ajal ab zahr piswata hun main

    rah teri ek muddat dekh li

    khul gai bande pe qadr-o-manzilat

    thi jo sahib ki haqiqat dekh li

    ja ke ghar jhuTon na puchhi baat tak

    bas teri jhuTi mohabbat dekh li

    us se kah 'adat se jo waqif na ho

    dekh li KHu teri KHaslat dekh li

    bahr-e-hasti mein faqat misl-e-habab

    hai mujhe ek dam ki mohlat dekh li

    aap hairan hoga apne husn ka

    aaine mein gar wo surat dekh li

    chandni raaton mein chillata phira

    chand si jis ne wo surat dekh li

    phir wahi hai boriya aur apna faqr

    chaar din ki jah-o-hashmat dekh li

    kyun churaata hai wo kafir mujh se aankh

    kya nigah-e-chashm-e-hasrat dekh li

    yaad aaya 'rind' wo paiman-shikan

    gar kahin baham mohabbat dekh li

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now