munharif mujhse ek zamana hai
munharif mujh se ik zamāna hai
bad-nasībī kā kyā Thikāna hai
bahkī jaatī hai chashm-e-zāhid bhī
har adā terī vālehāna hai
kyuuñ jabīñ ab hai mā.il-e-sajda
kyā yahīñ un kā āstāna hai
zarf-e-mai-kash ko taaḌ letī hai
chashm-e-sāqī kā kyā Thikānā hai
vāliyān-e-chaman nahīñ vāqif
barq-āsā har āshiyāna hai
ab to rusvā.iyāñ yaqīnī haiñ
un ke lab par mirā fasāna hai
sū-e-kāba chale to ho 'qaisar'
raah meñ ik sharāb-ḳhāna hai
munharif mujh se ek zamana hai
bad-nasibi ka kya Thikana hai
bahki jati hai chashm-e-zahid bhi
har ada teri walehana hai
kyun jabin ab hai mail-e-sajda
kya yahin un ka aastana hai
zarf-e-mai-kash ko taD leti hai
chashm-e-saqi ka kya Thikana hai
waliyan-e-chaman nahin waqif
barq-asa har aashiyana hai
ab to ruswaiyan yaqini hain
un ke lab par mera fasana hai
su-e-kaba chale to ho 'qaisar'
rah mein ek sharab-KHana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.