Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muntashir har shai qarine se saja di jaegi

Ehteram Islam

muntashir har shai qarine se saja di jaegi

Ehteram Islam

muntashir har shai qarīne se sajā jā.egī

mire kamre shaḳhsiyyat miTā jā.egī

saath rakhiye kaam aa.egā bahut nām-e-ḳhudā

ḳhauf gar jaagā to phir kis ko sadā jā.egī

aag bhaḌkegī havā kar baḌā sach ye nahīñ

sach baḌā ye hai ki sho.aloñ ko havā jā.egī

be-Thikāna yuuñ kiyā jā.egā ik jaltā charāġh

tāqche meñ mom guḌiyā biThā jā.egī

aa.ina hālāt aa.egā jo bhī dekhne

koī umda ġhazal us ko sunā jā.egī

bolne par koī pābandī nahīñ kuchh boliye

haañ magar āvāz uTThegī dabā jā.egī

sar-ba-kaf ho jā.eñge pīr-o-javāñ sab dekhnā

desh ḳhātir matā-e-jāñ luTā jā.egī

ġhair-mumkin kuchh nahīñ duniyā meñ lekin 'ehtirām'

aap sohbat bhalā kaise bhulā jā.egī

muntashir har shai qarine se saja di jaegi

ya mere kamre ki shaKHsiyyat miTa di jaegi

sath rakhiye kaam aaega bahut nam-e-KHuda

KHauf gar jaga to phir kis ko sada di jaegi

aag bhaDkegi hawa pa kar baDa sach ye nahin

sach baDa ye hai ki shoalon ko hawa di jaegi

be-Thikana yun kiya jaega ek jalta charagh

taqche mein mom ki guDiya biTha di jaegi

aaina haalat ka aaega jo bhi dekhne

koi umda si ghazal us ko suna di jaegi

bolne par koi pabandi nahin kuchh boliye

han magar aawaz uTThegi daba di jaegi

sar-ba-kaf ho jaenge pir-o-jawan sab dekhna

desh ki KHatir mata-e-jaan luTa di jaegi

ghair-mumkin kuchh nahin duniya mein lekin 'ehtiram'

aap ki sohbat bhala kaise bhula di jaegi

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Ehteram Islam

Ehteram Islam

Source :
  • Book : Hazir hai ehteram (Pg. 58)
  • Author : Ehitaram Islam
  • Publication : Anjuman Prakashan (2014)
  • Edition : 2014
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now