na payam chahte hain na kalam chahte hain
na payām chāhte haiñ na kalām chāhte haiñ
mirī raat ke añdhere tirā naam chāhte haiñ
jo jigar ko ḳhaak kar de jo dimāġh phūñk Daale
mire pyāse hoñT aisā koī jaam chāhte haiñ
vo ho shuġhl-e-bāda-noshī ki tavāf-e-kū-e-jānāñ
ġham-e-zindagī ke maare koī kaam chāhte haiñ
hameñ miT ke bhī ye hasrat ki bhaTakte us galī meñ
vo haiñ kaise log yā rab jo qayām chāhte haiñ
tirī yaad terī aahaT tirā chehrā terā vaada
koī sham.a ho magar ham sar-e-shām chāhte haiñ
ham isī liye haiñ 'arshad' abhī tishna-masarrat
ki jo un laboñ se chhalke vahī jaam chāhte haiñ
na payam chahte hain na kalam chahte hain
meri raat ke andhere tera nam chahte hain
jo jigar ko KHak kar de jo dimagh phunk Dale
mere pyase honT aisa koi jam chahte hain
wo ho shughl-e-baada-noshi ki tawaf-e-ku-e-jaanan
gham-e-zindagi ke mare koi kaam chahte hain
hamein miT ke bhi ye hasrat ki bhaTakte us gali mein
wo hain kaise log ya rab jo qayam chahte hain
teri yaad teri aahaT tera chehra tera wada
koi shama ho magar hum sar-e-sham chahte hain
hum isi liye hain 'arshad' abhi tishna-masarrat
ki jo un labon se chhalke wahi jam chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.