na wo iqrar karta hai na wo inkar karta hai
na vo iqrār kartā hai na vo inkār kartā hai
hameñ phir bhī gumāñ hai vo hamīñ se pyaar kartā hai
maiñ us ke kis sitam kī surḳhiyāñ aḳhbār meñ dekhūñ
vo zālim hai magar har zulm se inkār kartā hai
muñDeroñ se koī mānūs sī āvāz aatī hai
koī to yaad ham ko bhī pas-e-dīvār kartā hai
ye us ke pyaar kī bāteñ faqat qisse purāne haiñ
bhalā kachche ghaḌe par kaun dariyā paar kartā hai
hameñ ye dukh ki vo aksar ka.ī mausam nahīñ miltā
magar milne kā vā'da ham se vo har baar kartā hai
'hasan' rātoñ ko jab sab log mīThī niind sote haiñ
to ik ḳhvāb-āshnā chehra hameñ bedār kartā hai
na wo iqrar karta hai na wo inkar karta hai
hamein phir bhi guman hai wo hamin se pyar karta hai
main us ke kis sitam ki surKHiyan aKHbar mein dekhun
wo zalim hai magar har zulm se inkar karta hai
munDeron se koi manus si aawaz aati hai
koi to yaad hum ko bhi pas-e-diwar karta hai
ye us ke pyar ki baaten faqat qisse purane hain
bhala kachche ghaDe par kaun dariya par karta hai
hamein ye dukh ki wo aksar kai mausam nahin milta
magar milne ka wa'da hum se wo har bar karta hai
'hasan' raaton ko jab sab log miThi nind sote hain
to ek KHwab-ashna chehra hamein bedar karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.