na ye samajhna udasi hi apne ghar hogi
na ye samajhnā udāsī hī apne ghar hogī
yaqīn kiije kabhī to na.ī sahar hogī
bahut qadīm mirā zindagī se rishta hai
kise ḳhabar thī mirī chaah dar-ba-dar hogī
isī sabab na kabhī ruk sakā safar merā
tirī tavajjoh kabhī merī rāhbar hogī
qadam uThā.e haiñ ham ne bhī is yaqīn ke saath
jahāñ se guzreñge ham terī rahguzar hogī
abhī irāda nahīñ apnā tark-e-duniyā kā
jahāñ kahīñ bhī rahūñ aap ko ḳhabar hogī
kisī bhī haal meñ ai 'nāz' ham nahīñ māyūs
kabhī zamāne kī ham par bhī yak nazar hogī
na ye samajhna udasi hi apne ghar hogi
yaqin kije kabhi to nai sahar hogi
bahut qadim mera zindagi se rishta hai
kise KHabar thi meri chah dar-ba-dar hogi
isi sabab na kabhi ruk saka safar mera
teri tawajjoh kabhi meri rahbar hogi
qadam uThae hain hum ne bhi is yaqin ke sath
jahan se guzrenge hum teri rahguzar hogi
abhi irada nahin apna tark-e-duniya ka
jahan kahin bhi rahun aap ko KHabar hogi
kisi bhi haal mein ai 'naz' hum nahin mayus
kabhi zamane ki hum par bhi yak nazar hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.