na-shagufta kaliyon mein shauq hai tabassum ka
nā-shagufta kaliyoñ meñ shauq hai tabassum kā
baar sah nahīñ saktīñ der tak talātum kā
jaane kitnī fariyādeñ Dhal rahī haiñ naġhmoñ meñ
chhiḌ rahī hai dukh kī baat naam hai tarannum kā
kitne be-karāñ dariyā paar kar liye ham ne
mauj mauj meñ jin kī zor thā talātum kā
ai ḳhayāl kī kaliyo aur muskurā letīñ
kuchh abhī to aayā thā rañg sā tabassum kā
guftugū kisī se ho terā dhyān rahtā hai
TuuT TuuT jaatā hai silsila takallum kā
hasrat o mohabbat se dekhte raho 'jāved'
haath aa nahīñ saktā husn māh-o-anjum kā
na-shagufta kaliyon mein shauq hai tabassum ka
bar sah nahin saktin der tak talatum ka
jaane kitni fariyaaden Dhal rahi hain naghmon mein
chhiD rahi hai dukh ki baat nam hai tarannum ka
kitne be-karan dariya par kar liye hum ne
mauj mauj mein jin ki zor tha talatum ka
ai KHayal ki kaliyo aur muskura letin
kuchh abhi to aaya tha rang sa tabassum ka
guftugu kisi se ho tera dhyan rahta hai
TuT TuT jata hai silsila takallum ka
hasrat o mohabbat se dekhte raho 'jawed'
hath aa nahin sakta husn mah-o-anjum ka
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 09.10.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.