Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nae manzar sarabon ke meri aankhon mein bhar dena

Manish Shukla

nae manzar sarabon ke meri aankhon mein bhar dena

Manish Shukla

na.e manzar sarāboñ ke mirī āñkhoñ meñ bhar denā

agar manzil nazar aa.e mujhe gumrāh kar denā

mujhe ye kashmakash ye shor-o-ġhul sairāb karte haiñ

mirī kashtī ko dariyā aur dariyā ko bhañvar denā

mirī āvārgī mere hone 'alāmat hai

mujhe phir is safar ke baa'd bhī koī safar denā

mirī parvāz hasrat yaqīnan zor māregī

agar uḌne lagūñ to mere bāl-o-par katar denā

sunā hai dasht meñ aage bahut tārīk hai rasta

mire raḳht-e-safar meñ chāñd ḳhurshīd dhar denā

bujhā denā zarā pahle diyā merī samā'at

kabhī merī rihā.ī mujhe jab tum ḳhabar denā

judā karnā mire is ḳhvāb se tum daf.atan mujh ko

judā.ī mujhe ghaḌiyāñ ḳhudāyā muḳhtasar denā

nae manzar sarabon ke meri aankhon mein bhar dena

agar manzil nazar aae mujhe gumrah kar dena

mujhe ye kashmakash ye shor-o-ghul sairab karte hain

meri kashti ko dariya aur dariya ko bhanwar dena

meri aawargi hi mere hone ki 'alamat hai

mujhe phir is safar ke ba'd bhi koi safar dena

meri parwaz ki hasrat yaqinan zor maregi

agar uDne lagun to mere baal-o-par katar dena

suna hai dasht mein aage bahut tarik hai rasta

mere raKHt-e-safar mein chand ya KHurshid dhar dena

bujha dena zara pahle diya meri sama'at ka

kabhi meri rihai ki mujhe jab tum KHabar dena

juda karna mere is KHwab se tum dafatan mujh ko

judai ki mujhe ghaDiyan KHudaya muKHtasar dena

Source :
  • Book : Khwab Patthar Ho Gaye (Pg. 89)
  • Author : Manish Shukla
  • Publication : Skylark House of Publications, 52 Shiv Vihar, Sector-1, Jankipuram, Lucknow-21 (2012)
  • Edition : 2012
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now