nahin hai KHush iztirab mein hai
nahīñ hai ḳhush iztirāb meñ hai
mirā ye dil bhī sarāb meñ hai
maiñ kaisī rāhoñ meñ kho ga.ī huuñ
sabhī qusūr intiḳhāb meñ hai
dukhoñ-bharī raat kaT ga.ī hai
sitāra saharī sahāb meñ hai
vo yuuñ to lagtā hai sab ke jaisā
magar judā kuchh janāb meñ hai
maiñ chāhe is meñ nahīñ huuñ shāmil
magar vo dil ke nisāb meñ hai
maiñ us kī āñkhoñ meñ aise Duubī
ki Duubā koī chanāb meñ hai
ye mujh ko mahsūs ho rahā hai
'farah' phir koī 'itāb meñ hai
nahin hai KHush iztirab mein hai
mera ye dil bhi sarab mein hai
main kaisi rahon mein kho gai hun
sabhi qusur intiKHab mein hai
dukhon-bhari raat kaT gai hai
sitara sahari sahab mein hai
wo yun to lagta hai sab ke jaisa
magar juda kuchh janab mein hai
main chahe is mein nahin hun shamil
magar wo dil ke nisab mein hai
main us ki aankhon mein aise Dubi
ki Duba koi chanab mein hai
ye mujh ko mahsus ho raha hai
'farah' phir koi 'itab mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.