nahin jaane hai wo harf-e-sataish barmala kahna
nahīñ jaane hai vo harf-e-satā.ish barmalā kahnā
magar nazroñ hī nazroñ meñ vo is kā vāh-vā kahnā
sar-e-mahfil kare rusvā mirā be-sāḳhta kahnā
mire fankār ye nāzuk-ḳhayālī vaah kyā kahnā
mire nārāz shānoñ ko thapak kar bār-hā kahnā
chalo chhoḌo gile-shikve kabhī maano mirā kahnā
koī masrūfiyat hogī vagarna maslahat hogī
na is paimāñ-farāmoshī se us ko bevafā kahnā
vafā to ḳhair kyā hotī chalo ye bhī ġhanīmat hai
mirī be-bastagī ko ḳhud raqīboñ ko burā kahnā
nahin jaane hai wo harf-e-sataish barmala kahna
magar nazron hi nazron mein wo is ka wah-wa kahna
sar-e-mahfil kare ruswa mera be-saKHta kahna
mere fankar ye nazuk-KHayali wah kya kahna
mere naraaz shanon ko thapak kar bar-ha kahna
chalo chhoDo gile-shikwe kabhi mano mera kahna
koi masrufiyat hogi wagarna maslahat hogi
na is paiman-faramoshi se us ko bewafa kahna
wafa to KHair kya hoti chalo ye bhi ghanimat hai
meri be-bastagi ko KHud raqibon ko bura kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.