naya labaada purani nishaniyan na gain
nayā labāda purānī nishāniyāñ na ga.iiñ
faqīh-e-shahr kī resha-davāniyāñ na ga.iiñ
saroñ pe taaj na un ke ġhulām gardish meñ
magar dimāġh se kyuuñ rājdhāniyāñ na ga.iiñ
bahut kashīd kiyā pāniyoñ ko sūraj ne
samundaroñ kī magar be-karāniyāñ na ga.iiñ
fareb khāne ke bā-vasf bhī kisī lamhe
dil-e-tabāh tirī ḳhush-gumāniyāñ na ga.iiñ
tumhārī or se kyā mutma.in nahīñ the ham
tumhārī or se kyuuñ bad-gumāniyāñ na ga.iiñ
naya labaada purani nishaniyan na gain
faqih-e-shahr ki resha-dawaniyan na gain
saron pe taj na un ke ghulam gardish mein
magar dimagh se kyun rajdhaniyan na gain
bahut kashid kiya paniyon ko suraj ne
samundaron ki magar be-karaniyan na gain
fareb khane ke ba-wasf bhi kisi lamhe
dil-e-tabah teri KHush-gumaniyan na gain
tumhaari or se kya mutmain nahin the hum
tumhaari or se kyun bad-gumaniyan na gain
- Book : Pakistani Adab (Pg. 418)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.