Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar nazar ko saqi-e-hayat kahte aae hain

Nushur Wahidi

nazar nazar ko saqi-e-hayat kahte aae hain

Nushur Wahidi

MORE BYNushur Wahidi

    nazar nazar ko sāqī-e-hayāt kahte aa.e haiñ

    un añkhḌiyoñ ko mai-kade raat kahte aa.e haiñ

    ba-chāshnī-e-ahd-e-nau jo baat kahte aa.e haiñ

    ġham-e-jahāñ ko dil kā.enāt kahte aa.e haiñ

    fareb-e-shauq ko taḳhayyulāt kahte aa.e haiñ

    bikhar ga.e to gesuoñ ko raat kahte aa.e haiñ

    usī ko zindagī saaz de ke mutma.in huuñ maiñ

    vo husn jis ko husn-e-be-sabāt kahte aa.e haiñ

    ye muḳhlisān-e-ishq bhī 'ajab adā-parast haiñ

    vo muskurā diye to iltifāt kahte aa.e haiñ

    hayāt tā-mamāt ek silsila hai 'ishq

    kahāñ haiñ vo jo marg ko najāt kahte aa.e haiñ

    na zāhidoñ ke va.az-e-tark-e-ishq par hañse koī

    ye be-ḳhabar bhī hausle baat kahte aa.e haiñ

    ye zarf-e-bāda kyā hai bāda-āshnā se pūchhiye

    ham is ko shīsha-e-tajalliyāt kahte aa.e haiñ

    ġhazal hai naam husn ke muāmalāt-e-ḳhām

    ḳhatā huī ki dilbaroñ baat kahte aa.e haiñ

    sukūn o ḳhvāb zindagī raah meñ kahāñ 'nushūr'

    hayāt ko musāfirat raat kahte aa.e haiñ

    nazar nazar ko saqi-e-hayat kahte aae hain

    un ankhDiyon ko mai-kade ki raat kahte aae hain

    ba-chashni-e-ahd-e-nau jo baat kahte aae hain

    gham-e-jahan ko dil ki kaenat kahte aae hain

    fareb-e-shauq ko taKHayyulat kahte aae hain

    bikhar gae to gesuon ko raat kahte aae hain

    usi ko zindagi ka saz de ke mutmain hun main

    wo husn jis ko husn-e-be-sabaat kahte aae hain

    ye muKHlisan-e-ishq bhi 'ajab ada-parast hain

    wo muskura diye to iltifat kahte aae hain

    hayat ta-mamat ek silsila hai 'ishq ka

    kahan hain wo jo marg ko najat kahte aae hain

    na zahidon ke waz-e-tark-e-ishq par hanse koi

    ye be-KHabar bhi hausle ki baat kahte aae hain

    ye zarf-e-baada kya hai baada-ashna se puchhiye

    hum is ko shisha-e-tajalliyat kahte aae hain

    ghazal hai nam husn ke muamalat-e-KHam ka

    KHata hui ki dilbaron ki baat kahte aae hain

    sukun o KHwab zindagi ki rah mein kahan 'nushur'

    hayat ko musafirat ki raat kahte aae hain

    Source :
    • Book : Sawad-e-manzil (Pg. 217)
    • Author : Nushoor Wahedi
    • Publication : Maktaba Jamia Ltd, Delhi (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now