nazar se jab akasta hai mera dil
nazar se jab akastā hai mirā dil
to jā kākul meñ bastā hai mirā dil
maiñ us kī chashm se aisā girā huuñ
mire rone pe hañstā hai mirā dil
gayā hai jab se vo merī baġhal se
usī kī bū meñ bastā hai mirā dil
ḳharīdār is ke bahtere haiñ tum se
na jaano ye ki sastā hai mirā dil
yahāñ tak ġharq huuñ rone meñ 'hātim'
ki hañsne ko tarastā hai mirā dil
nazar se jab akasta hai mera dil
to ja kakul mein basta hai mera dil
main us ki chashm se aisa gira hun
mere rone pe hansta hai mera dil
gaya hai jab se wo meri baghal se
usi ki bu mein basta hai mera dil
KHaridar is ke bahtere hain tum se
na jaano ye ki sasta hai mera dil
yahan tak gharq hun rone mein 'hatim'
ki hansne ko tarasta hai mera dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.