nigahen jhuk gain aaya shabab aahista aahista
nigahen jhuk gain aaya shabab aahista aahista
Hashim Ali Khan Dilazak
MORE BYHashim Ali Khan Dilazak
nigāheñ jhuk ga.iiñ aayā shabāb āhista āhista
paḌā āñkhoñ pa palkoñ kā hijāb āhista āhista
savālī ban ke jab mushtāq nazreñ paḌ ga.iiñ un par
nigāhoñ ne diyā un kī javāb āhista āhista
kabhī ashkoñ ke tūfāñ meñ kabhī mizhgāñ se dāmāñ meñ
lahū kā dil bahā yuuñ be-hisāb āhista āhista
isī ummīd par to jī rahe haiñ hijr ke maare
kabhī to ruḳh se uTThegī naqāb āhista āhista
ḳhayāloñ se ruḳh-e-zebā jo aksar dekh letā hai
miTā jaatā hai vo bhī kaif-e-ḳhvāb āhista āhista
ruḳh-e-zebā pe lahreñ letī haiñ kuchh is tarah zulfeñ
ki jaise chāñd par chhā.e sahāb āhista āhista
matā-e-zindagī samjhā thā soz-e-ġham ko maiñ 'hāshim'
miTā jaanā hai vo bhī iztirāb āhista āhista
nigahen jhuk gain aaya shabab aahista aahista
paDa aankhon pa palkon ka hijab aahista aahista
sawali ban ke jab mushtaq nazren paD gain un par
nigahon ne diya un ki jawab aahista aahista
kabhi ashkon ke tufan mein kabhi mizhgan se daman mein
lahu ka dil baha yun be-hisab aahista aahista
isi ummid par to ji rahe hain hijr ke mare
kabhi to ruKH se uTThegi naqab aahista aahista
KHayalon se ruKH-e-zeba jo aksar dekh leta hai
miTa jata hai wo bhi kaif-e-KHwab aahista aahista
ruKH-e-zeba pe lahren leti hain kuchh is tarah zulfen
ki jaise chand par chhae sahab aahista aahista
mata-e-zindagi samjha tha soz-e-gham ko main 'hashim'
miTa jaana hai wo bhi iztirab aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.