nind mein gunguna raha hun main
niiñd meñ gungunā rahā huuñ maiñ
ḳhvāb kī dhun banā rahā huuñ maiñ
ek muddat se baaġh duniyā kā
apne dil meñ lagā rahā huuñ maiñ
kyā batā.ūñ tumheñ vo shahr thā kyā
jis kī aab o havā rahā huuñ maiñ
ab tujhe merā naam yaad nahīñ
jab ki terā patā rahā huuñ maiñ
aaj kal to kisī sadā kī tarah
apne andar se aa rahā huuñ maiñ
aisā murda thā maiñ ki jiine ke
ḳhauf meñ mubtalā rahā huuñ maiñ
nind mein gunguna raha hun main
KHwab ki dhun bana raha hun main
ek muddat se bagh duniya ka
apne dil mein laga raha hun main
kya bataun tumhein wo shahr tha kya
jis ki aab o hawa raha hun main
ab tujhe mera nam yaad nahin
jab ki tera pata raha hun main
aaj kal to kisi sada ki tarah
apne andar se aa raha hun main
aisa murda tha main ki jine ke
KHauf mein mubtala raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.