nirala ajab nak-chaDha aadmi hun
nirālā ajab nak-chaḌhā aadmī huuñ
jo tuk kī kaho be-tukā aadmī huuñ
baḌe aadmī to baḌe chain se haiñ
musībat mirī maiñ kharā aadmī huuñ
sabhī māshā-allāh sub.hān-allāh
ho lā-haul mujh par maiñ kyā aadmī huuñ
ye bachnā bidaknā chhaTaknā mujhī se
mirī jaan maiñ to tirā aadmī huuñ
agar sach hai sachchā.ī hotī hai uryāñ
maiñ uryāñ barahna khulā aadmī huuñ
TaTolo parakh lo chalo aazmā lo
ḳhudā kī qasam bā-ḳhudā aadmī huuñ
bharam kā bharam laaj kī laaj rakh lo
thā sab ko yahī vasvasa aadmī huuñ
nirala ajab nak-chaDha aadmi hun
jo tuk ki kaho be-tuka aadmi hun
baDe aadmi to baDe chain se hain
musibat meri main khara aadmi hun
sabhi masha-allah subhan-allah
ho la-haul mujh par main kya aadmi hun
ye bachna bidakna chhaTakna mujhi se
meri jaan main to tera aadmi hun
agar sach hai sachchai hoti hai uryan
main uryan barahna khula aadmi hun
TaTolo parakh lo chalo aazma lo
KHuda ki qasam ba-KHuda aadmi hun
bharam ka bharam laj ki laj rakh lo
tha sab ko yahi waswasa aadmi hun
- Book : Istifsaar (Pg. 35)
- Author : Sheen Kaaf Nizam, Aadil Raza Mansoori
- Publication : Aadil Raza Mansoori (Issue No. 1, Oct To Dec. 2013)
- Edition : Issue No. 1, Oct To Dec. 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.