nit-nae rang se karta raha dil ko pamal
nit-na.e rañg se kartā rahā dil ko pāmāl
barbat-e-jāñ meñ samāyā huā ik husn-e-malāl
umar kaaTī hai ghanī chhāñv meñ zulfoñ kī bahut
aao ab rañj kī dahlīz pe sajde kuchh saal
vo badan jis kā ujālā thā hamārī jannat
dhyān meñ us ke hue aaj magar kaise niDhāl
gorī bāheñ bhī hamā.il rahā kartī thiiñ kabhī
aur ab sar bhī uThānā huā zaanū se muhāl
tū mayassar thā to dil meñ the hazāroñ armāñ
tū nahīñ hai to har ik samt ajab rañg-e-malāl
har taraf apne añdherā hī añdherā lekin
āsmāñ par ye sitāroñ kā chamaktā huā jaal
nit-nae rang se karta raha dil ko pamal
barbat-e-jaan mein samaya hua ek husn-e-malal
umar kaTi hai ghani chhanw mein zulfon ki bahut
aao ab ranj ki dahliz pe sajde kuchh sal
wo badan jis ka ujala tha hamari jannat
dhyan mein us ke hue aaj magar kaise niDhaal
gori bahen bhi hamail raha karti thin kabhi
aur ab sar bhi uThana hua zanu se muhaal
tu mayassar tha to dil mein the hazaron arman
tu nahin hai to har ek samt ajab rang-e-malal
har taraf apne andhera hi andhera lekin
aasman par ye sitaron ka chamakta hua jal
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 115)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.