nit nit ka ye aana jaana mere bas ki baat nahin
nit nit ka ye aana jaana mere bas ki baat nahin
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
nit nit kā ye aanā jaanā mere bas kī baat nahīñ
darbānoñ ke naaz uThānā mere bas kī baat nahīñ
saaqī mai sāġhar paimāna mere bas kī baat nahīñ
sirf inhī se dil bahlānā mere bas kī baat nahīñ
ishq o mohabbat kyā hote haiñ kyā samjhā.ūñ vaa.iz ko
bhaiñs ke aage biin bajānā mere bas kī baat nahīñ
marnā to lāzim hai ik din jī bhar ke ab jī to luuñ
marne se pahle mar jaanā mere bas kī baat nahīñ
donoñ meñ hai nuur usī kā donoñ us ke maskan haiñ
ik kaaba hai ik but-ḳhāna mere bas kī baat nahīñ
nit nit ka ye aana jaana mere bas ki baat nahin
darbanon ke naz uThana mere bas ki baat nahin
saqi mai saghar paimana mere bas ki baat nahin
sirf inhi se dil bahlana mere bas ki baat nahin
ishq o mohabbat kya hote hain kya samjhaun waiz ko
bhains ke aage bin bajaana mere bas ki baat nahin
marna to lazim hai ek din ji bhar ke ab ji to lun
marne se pahle mar jaana mere bas ki baat nahin
donon mein hai nur usi ka donon us ke maskan hain
ek kaba hai ek but-KHana mere bas ki baat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.