paanī meñ aag dhyān se tere bhaḌak ga.ī
aañsū meñ kauñdtī huī bijlī jhalak ga.ī
kab tak ye jhūTī aas ki ab aa.e vo ab aa.e
palkeñ jhukīñ papoTe tane aañkh thak ga.ī
khilnā kahīñ chhupā bhī hai chāhat ke phuul kā
lī ghar meñ saañs aur galī tak mahak ga.ī
aañsū ruke the aañkh meñ dhaḌkan kā ho burā
aisī takān dī kī pyālī chhalak ga.ī
merī sanak bhī baḌhtī hai un kī hañsī ke saath
chaTkī kalī ki paañv kī beḌī khaḌak ga.ī
pani mein aag dhyan se tere bhaDak gai
aansu mein kaundti hui bijli jhalak gai
kab tak ye jhuTi aas ki ab aae wo ab aae
palken jhukin papoTe tane aankh thak gai
khilna kahin chhupa bhi hai chahat ke phul ka
li ghar mein sans aur gali tak mahak gai
aansu ruke the aankh mein dhaDkan ka ho bura
aisi takan di ki pyali chhalak gai
meri sanak bhi baDhti hai un ki hansi ke sath
chaTki kali ki panw ki beDi khaDak gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.