paDa hun zer-e-qadam KHak-e-rahguzar ban kar
paḌā huuñ zer-e-qadam ḳhāk-e-rahguzar ban kar
jhukā huuñ maiñ hama-tan us galī meñ sar ban kar
nikal gayā mirī āñkhoñ se misl-e-ḳhvā-o-ḳhayāl
guzar gayā dil-e-raushan se vo nazar ban kar
kitāb o ḳhat hī ke dhoke meñ rah ga.e aġhyār
vo yaar aap hī aayā payām-bar ban kar
kisī kī teġh-e-nigah ne miTā diye dhabbe
hamāre dāġh-e-jigar kaT ga.e sipar ban kar
'mazāq' sāqi-e-kausar mujhe sambhāleñge
nashe meñ bigḌī tabī.at mirī agar ban kar
paDa hun zer-e-qadam KHak-e-rahguzar ban kar
jhuka hun main hama-tan us gali mein sar ban kar
nikal gaya meri aankhon se misl-e-KHwa-o-KHayal
guzar gaya dil-e-raushan se wo nazar ban kar
kitab o KHat hi ke dhoke mein rah gae aghyar
wo yar aap hi aaya payam-bar ban kar
kisi ki tegh-e-nigah ne miTa diye dhabbe
hamare dagh-e-jigar kaT gae sipar ban kar
'mazaq' saqi-e-kausar mujhe sambhaalenge
nashe mein bigDi tabiat meri agar ban kar
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 222)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.