Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pankhuDi koi gulistan se saba kya lai

Nushur Wahidi

pankhuDi koi gulistan se saba kya lai

Nushur Wahidi

MORE BYNushur Wahidi

    pañkhuḌī koī gulistāñ se sabā kyā laa.ī

    duur tak nik.hat-e-gul ḳhaak uḌātī aa.ī

    uf vo begāna nigāhoñ karam-farmā.ī

    fitrat-e-ishq ba-andāz-e-junūñ tharrā.ī

    taaza taaza vo shikast-e-suḳhan-e-ra.anā.ī

    chup hue vo to tabassum jhalak aa.ī

    āḳhir-e-shab vo sitāroñ saraktī huī chhāñv

    maiñ vahīñ baiTh gayā raat jahāñ lahrā.ī

    jaagī jaagī huī palkeñ vo ba-āġhosh-e-jamāl

    dil ko ārām ziyāda thā to kam niiñd aa.ī

    vaqt ne zarf-e-nazar ko lab-e-mai-ḳhvār kiyā

    tishnagī shīshe ko paimāna banā kar laa.ī

    zindagī ek hujūm-e-guzarāñ hai lekin

    aadmī apnī jagah ālam-e-sad-tanhā.ī

    apne sho.la-e-rañgīñ se jalā dāman-e-gul

    apnī shāḳh-e-tabassum pe kalī murjhā.ī

    manzil-e-aql junūñ rañg use miltī hai

    jis ne ik baar rah-e-ishq meñ Thokar khaa.ī

    patte patte nahīñ gulshan-e-ālam meñ javāb

    zarre zarre meñ dhaḌaktā hai dil-e-yaktā.ī

    TūTtī rag-e-daurāñ ye taraqqī thakan

    kisī ma.ashūq-e-sahar-ḳhez nīm-añgḌā.ī

    ḳhaak aur ḳhuun se ik sham.a jalā.ī hai 'nushūr'

    maut se ham ne bhī sīkhī hai hayāt-ārā.ī

    pankhuDi koi gulistan se saba kya lai

    dur tak nikhat-e-gul KHak uDati aai

    uf wo begana nigahon ki karam-farmai

    fitrat-e-ishq ba-andaz-e-junun tharrai

    taza taza wo shikast-e-suKHan-e-ranai

    chup hue wo to tabassum ki jhalak si aai

    aaKHir-e-shab wo sitaron ki sarakti hui chhanw

    main wahin baiTh gaya raat jahan lahrai

    jagi jagi hui palken wo ba-aghosh-e-jamal

    dil ko aaram ziyaada tha to kam nind aai

    waqt ne zarf-e-nazar ko lab-e-mai-KHwar kiya

    tishnagi shishe ko paimana bana kar lai

    zindagi ek hujum-e-guzaran hai lekin

    aadmi apni jagah aalam-e-sad-tanhai

    apne hi shola-e-rangin se jala daman-e-gul

    apni hi shaKH-e-tabassum pe kali murjhai

    manzil-e-aql junun rang use milti hai

    jis ne ek bar rah-e-ishq mein Thokar khai

    patte patte ka nahin gulshan-e-alam mein jawab

    zarre zarre mein dhaDakta hai dil-e-yaktai

    TuTti si rag-e-dauran ye taraqqi ki thakan

    kisi mashuq-e-sahar-KHez ki nim-angDai

    KHak aur KHun se ek shama jalai hai 'nushur'

    maut se hum ne bhi sikhi hai hayat-arai

    Source :
    • Book : Sawad-e-manzil (Pg. 188)
    • Author : Nushoor wahedi
    • Publication : Sarvat Wahidi D/o Nushoor wahedi (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now