Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

par saubat raston ki garmiyan bhi de gaya

Azra Waheed

par saubat raston ki garmiyan bhi de gaya

Azra Waheed

MORE BYAzra Waheed

    par sa.ūbat rāstoñ garmiyāñ bhī de gayā

    aane vaalī chhāñv ḳhush-fahmiyāñ bhī de gayā

    saḳht bījoñ se sunahrī bāliyāñ bhī bhar ga.iiñ

    garm jhoñkā mausamoñ saḳhtiyāñ bhī de gayā

    bādaloñ aas us ke saath ruḳhsat huī

    shahr ko vo aag be-rahmiyāñ bhī de gayā

    ehtisāb us amal thā us se vo fāriġh huā

    vaqt saḌkoñ ko luTī shahzādiyāñ bhī de gayā

    bebasī aur bhuuk meñ jo hausle detā rahā

    pyaar karne mujhe kamzoriyāñ bhī de gayā

    Tahniyāñ phūloñ se lad kar rab ke aage jhuk ga.iiñ

    mausam-e-gul jaate jaate titliyāñ bhī de gayā

    āsmāñ ne maañ zamīñ god to bhar magar

    de ke beTe un ko kuchh nā-samjhiyāñ bhī de gayā

    par saubat raston ki garmiyan bhi de gaya

    aane wali chhanw ki KHush-fahmiyan bhi de gaya

    saKHt bijon se sunahri baaliyan bhi bhar gain

    garm jhonka mausamon ki saKHtiyan bhi de gaya

    baadalon ki aas us ke sath hi ruKHsat hui

    shahr ko wo aag ki be-rahmiyan bhi de gaya

    ehtisab us ka amal tha us se wo farigh hua

    waqt saDkon ko luTi shahzadiyan bhi de gaya

    bebasi aur bhuk mein jo hausle deta raha

    pyar karne ki mujhe kamzoriyan bhi de gaya

    Tahniyan phulon se lad kar rab ke aage jhuk gain

    mausam-e-gul jate jate titliyan bhi de gaya

    aasman ne man zamin ki god to bhar di magar

    de ke beTe un ko kuchh na-samjhiyan bhi de gaya

    Source:

    Lahar Lahar (Pg. 42)

    • Author: Azra Waheed
      • Edition: 1989
      • Publisher: Karwan-e-Adab Multan Sadr, Lahore
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now