Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

paraya kaun hai aur kaun apna sab bhula denge

Anwar Jalalpuri

paraya kaun hai aur kaun apna sab bhula denge

Anwar Jalalpuri

MORE BYAnwar Jalalpuri

    parāyā kaun hai aur kaun apnā sab bhulā deñge

    matā-e-zindagī ek din ham bhī luTā deñge

    tum apne sāmne bhiiḌ se ho kar guzar jaao

    ki aage vaale to hargiz na tum ko rāsta deñge

    jalā.e haiñ diye to phir havāoñ par nazar rakkho

    ye jhoñke ek pal meñ sab charāġhoñ ko bujhā deñge

    koī pūchhegā jis din vāqa.ī ye zindagī kyā hai

    zamīñ se ek muTThī ḳhaak le kar ham uḌā deñge

    gila shikva hasad kiina ke tohfe merī qismat haiñ

    mire ahbāb ab is se ziyāda aur kyā deñge

    musalsal dhuup meñ chalnā charāġhoñ tarah jalnā

    ye hañgāme to mujh ko vaqt se pahle thakā deñge

    agar tum āsmāñ par rahe ho shauq se jaao

    mire naqsh-e-qadam aage manzil patā deñge

    paraya kaun hai aur kaun apna sab bhula denge

    mata-e-zindagi ek din hum bhi luTa denge

    tum apne samne ki bhiD se ho kar guzar jao

    ki aage wale to hargiz na tum ko rasta denge

    jalae hain diye to phir hawaon par nazar rakkho

    ye jhonke ek pal mein sab charaghon ko bujha denge

    koi puchhega jis din waqai ye zindagi kya hai

    zamin se ek muTThi KHak le kar hum uDa denge

    gila shikwa hasad kina ke tohfe meri qismat hain

    mere ahbab ab is se ziyaada aur kya denge

    musalsal dhup mein chalna charaghon ki tarah jalna

    ye hangame to mujh ko waqt se pahle thaka denge

    agar tum aasman par ja rahe ho shauq se jao

    mere naqsh-e-qadam aage ki manzil ka pata denge

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Anwar Jalalpuri

    Anwar Jalalpuri

    RECITATIONS

    Anwar Jalalpuri

    Anwar Jalalpuri,

    Anwar Jalalpuri

    paraya kaun hai aur kaun apna sab bhula denge Anwar Jalalpuri

    Source :
    • Book : khushboo ki rishtadari (Pg. 43)
    • Author : anwar jalalpuri
    • Publication : paigam publications (2000)
    • Edition : 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now