Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir koi KHwab tere rangon se juda nahin dekha

Mohammad Khalid

phir koi KHwab tere rangon se juda nahin dekha

Mohammad Khalid

MORE BYMohammad Khalid

    phir koī ḳhvāb tire rañgoñ se judā nahīñ dekhā

    kyā kuchh dekh liyā thā ham ne kyā nahīñ dekhā

    avval-e-ishq saa.at kar phir nahīñ aa.ī

    phir koī mausam pahle mausam nahīñ dekhā

    sab ne dekhā thā tirā ham ko ruḳhsat karnā

    ham ne jo manzar dekhne vaalā thā nahīñ dekhā

    be-kal be-kal rahnā diid phal to nahīñ hai

    dekhne vaalī aañkh ne jaane kyā nahīñ dekhā

    ham jise parda-e-ḳhvāb meñ rah kar dekh rahe haiñ

    jāgne vaalo tum ne bhī dekhā nahīñ dekhā

    phir koi KHwab tere rangon se juda nahin dekha

    kya kuchh dekh liya tha hum ne kya nahin dekha

    awwal-e-ishq ki saat ja kar phir nahin aai

    phir koi mausam pahle mausam sa nahin dekha

    sab ne dekha tha tera hum ko ruKHsat karna

    hum ne jo manzar dekhne wala tha nahin dekha

    be-kal be-kal rahna did ka phal to nahin hai

    dekhne wali aankh ne jaane kya nahin dekha

    hum jise parda-e-KHwab mein rah kar dekh rahe hain

    jagne walo tum ne bhi dekha ya nahin dekha

    Source :
    • Book : meyaar (Pg. 390)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now