phirta hun main ghaTi ghaTi sahra sahra tanha tanha
phirtā huuñ maiñ ghāTī ghāTī sahrā sahrā tanhā tanhā
bādal kā āvāra TukḌā khoyā khoyā tanhā tanhā
pachchhim des ke farzānoñ ne nisf jahāñ se shahr basā.e
in meñ piir buzurg arastū baiThā rahtā tanhā tanhā
kitnā bhīḌ-bhaḌakkā jag meñ kitnā shor-sharāba lekin
bastī bastī kūcha kūcha chappā chappā tanhā tanhā
sair karo bātin meñ us ke kaisā kaisā kumbh lagā hai
taak rahā hai duur ufuq ko jo bechārā tanhā tanhā
sair tamāshā rukne vaale sayyāho ye bhī sochā hai
ghaḌiyāñ ghar ko Dhālne vaalā ḳhud hai kitnā tanhā tanhā
koī na us kā maal ḳharīde koī na us kī jānib dekhe
ab banjāra ghuum rahā hai qarya qarya tanhā tanhā
dhuum machī hai chhūT rahe haiñ shahr meñ rañgoñ ke favvāre
biich meñ ik qasbātī laḌkā sahmā sahmā tanhā tanhā
dhartī aur ambar par donoñ kyā ra.anā.ī baañT rahe the
phuul khilā thā tanhā tanhā chāñd ugā thā tanhā tanhā
phirta hun main ghaTi ghaTi sahra sahra tanha tanha
baadal ka aawara TukDa khoya khoya tanha tanha
pachchhim des ke farzanon ne nisf jahan se shahr basae
in mein pir buzurg arastu baiTha rahta tanha tanha
kitna bhiD-bhaDakka jag mein kitna shor-sharaba lekin
basti basti kucha kucha chappa chappa tanha tanha
sair karo baatin mein us ke kaisa kaisa kumbh laga hai
tak raha hai dur ufuq ko jo bechaara tanha tanha
sair tamasha rukne wale sayyaho ye bhi socha hai
ghaDiyan ghar ko Dhaalne wala KHud hai kitna tanha tanha
koi na us ka mal KHaride koi na us ki jaanib dekhe
ab banjara ghum raha hai qarya qarya tanha tanha
dhum machi hai chhuT rahe hain shahr mein rangon ke fawware
bich mein ek qasbaati laDka sahma sahma tanha tanha
dharti aur ambar par donon kya ranai banT rahe the
phul khila tha tanha tanha chand uga tha tanha tanha
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 251)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.