Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phul ne Tahni se uDne ki koshish ki

Gulzar

phul ne Tahni se uDne ki koshish ki

Gulzar

phuul ne Tahnī se uḌne koshish

ik taa.ir dil rakhne koshish

kal phir chāñd ḳhanjar ghoñp ke siine meñ

raat ne merī jaañ lene koshish

koī na koī rahbar rasta kaaT gayā

jab bhī apnī rah chalne koshish

kitnī lambī ḳhāmoshī se guzrā huuñ

un se kitnā kuchh kahne koshish

ek ḳhvāb ne saarī raat jagāyā hai

maiñ ne har karvaT sone koshish

ek sitāra jaldī jaldī Duub gayā

maiñ ne jab taare ginñe koshish

naam mirā thā aur pata apne ghar

us ne mujh ko ḳhat likhne koshish

ek dhueñ marġhola niklā hai

miTTī meñ jab dil bone koshish

phul ne Tahni se uDne ki koshish ki

ek tair ka dil rakhne ki koshish ki

kal phir chand ka KHanjar ghonp ke sine mein

raat ne meri jaan lene ki koshish ki

koi na koi rahbar rasta kaT gaya

jab bhi apni rah chalne ki koshish ki

kitni lambi KHamoshi se guzra hun

un se kitna kuchh kahne ki koshish ki

ek hi KHwab ne sari raat jagaya hai

main ne har karwaT sone ki koshish ki

ek sitara jaldi jaldi Dub gaya

main ne jab tare ginne ki koshish ki

nam mera tha aur pata apne ghar ka

us ne mujh ko KHat likhne ki koshish ki

ek dhuen ka marghola sa nikla hai

miTTi mein jab dil bone ki koshish ki

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now