phul pe aa ke baiThi to KHud par utarna bhul gai
phuul pe aa ke baiThī to ḳhud par utarnā bhuul ga.ī
aisī mast huī vo titlī par phailānā bhuul ga.ī
aise khilā vo phuul sā chehra phailī saare ghar ḳhushbū
ḳhat ko chhupā kar paḌhne vaalī raaz chhupānā bhuul ga.ī
kaliyoñ ne har bhañvre, titlī se pūchhā hai us kā naam
bād-e-sabā jis phuul ke ghar se lauT ke aanā bhuul ga.ī
apne purāne ḳhat lene vo aa.ī thī mire kamre meñ
mez pe do tasvīreñ dekhīñ ḳhat le jaanā bhuul ga.ī
barsoñ ba.ad mile to aisī pyaas bharī thī āñkhoñ meñ
bhuul gayā maiñ baat banānā vo sharmānā bhuul ga.ī
sājan kī yādeñ bhī 'ḳhāvar' kin lamhoñ aa jaatī haiñ
gorī aaTā gūñdh rahī thī namak milānā bhuul ga.ī
phul pe aa ke baiThi to KHud par utarna bhul gai
aisi mast hui wo titli par phailana bhul gai
aise khila wo phul sa chehra phaili sare ghar KHushbu
KHat ko chhupa kar paDhne wali raaz chhupana bhul gai
kaliyon ne har bhanwre, titli se puchha hai us ka nam
baad-e-saba jis phul ke ghar se lauT ke aana bhul gai
apne purane KHat lene wo aai thi mere kamre mein
mez pe do taswiren dekhin KHat le jaana bhul gai
barson baad mile to aisi pyas bhari thi aankhon mein
bhul gaya main baat banana wo sharmana bhul gai
sajan ki yaaden bhi 'KHawar' kin lamhon aa jati hain
gori aaTa gundh rahi thi namak milana bhul gai
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 13.05.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.