pila tha chand aur shajar be-libas the
piilā thā chāñd aur shajar be-libās the
tujh se bichhaḌ ke gaañv meñ saare udaas the
sochā to tū magan thā faqat merī zaat meñ
dekhā to kitne log tire ās-pās the
jab ham na mil sake to hameñ mānñā paḌā
bastī ke log kitne sitāra-shanās the
dil is pe mutma.in thā ki ham ek ho ga.e
lekin ka.ī gumāñ mirī sochoñ ke paas the
vo phuul ho sitāra ho shabnam ho jhiil ho
terī kitāb-e-husn ke sab iqtibās the
'ashfāq' us ko dekh ke ham se ġhazal huī
muddat se varna ham to yūñhī mahv-e-yās the
pila tha chand aur shajar be-libas the
tujh se bichhaD ke ganw mein sare udas the
socha to tu magan tha faqat meri zat mein
dekha to kitne log tere aas-pas the
jab hum na mil sake to hamein manna paDa
basti ke log kitne sitara-shanas the
dil is pe mutmain tha ki hum ek ho gae
lekin kai guman meri sochon ke pas the
wo phul ho sitara ho shabnam ho jhil ho
teri kitab-e-husn ke sab iqtibas the
'ashfaq' us ko dekh ke hum se ghazal hui
muddat se warna hum to yunhi mahw-e-yas the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.