piran-e-jubba-o-qaba sara fasad ek hai
pīrān-e-jubba-o-qabā saarā fasād ek hai
sab kā ḳhudā alag sahī sab kā mafād ek hai
chāroñ taraf haiñ maz.habī chāroñ taraf haiñ nafrateñ
sab kī namāz ek hai sab kā jihād ek hai
tab-e-shu.ūr-o-fikr kī zad par rahā hai iḳhtiyār
sadiyoñ se shaiḳh-o-shāh ko ham se inaad ek hai
raushan charāġh ho yā dil tābāñ qalam ho yā ḳhirad
gard-e-shab-e-ḳhayāl se in kā inaad ek hai
dahshat-pasand-gān se vahshat-parast-gān tak
sharh-e-junūn bīsiyoñ lekin murād ek hai
piran-e-jubba-o-qaba sara fasad ek hai
sab ka KHuda alag sahi sab ka mafad ek hai
chaaron taraf hain mazhabi chaaron taraf hain nafraten
sab ki namaz ek hai sab ka jihad ek hai
tab-e-shuur-o-fikr ki zad par raha hai iKHtiyar
sadiyon se shaiKH-o-shah ko hum se inad ek hai
raushan charagh ho ya dil taban qalam ho ya KHirad
gard-e-shab-e-KHayal se in ka inad ek hai
dahshat-pasand-gan se wahshat-parast-gan tak
sharh-e-junun bisiyon lekin murad ek hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.