puchhe jo nishan koi anjaan nikalte hain
pūchhe jo nishāñ koī anjān nikalte haiñ
ham rāh-guzāroñ se be-dhyān nikalte haiñ
dil taaza marāsim ke āġhāz se Dartā hai
milne se bichhaḌne ke imkān nikalte haiñ
kis samt ko jaate haiñ ai rāh-e-chaman āḳhir
lashkar gul-o-nik.hat ke har aan nikalte haiñ
ghar rahiye ki bāhar hai ik raqs balāoñ kā
is mausam-e-vahshat meñ nādān nikalte haiñ
tum ishq ke kūche meñ jaañ nazr to kar dekho
marne se bhī jiine ke unvān nikalte haiñ
is sāya-e-mizhgāñ meñ kuchh vaqt guzārā hai
ham par bhī un āñkhoñ ke ehsān nikalte haiñ
hastī kī ye zanjīreñ ye jism kī dīvāreñ
ham saath liye apnā zindān nikalte haiñ
ham dekhte rahte haiñ is pyaas ke sahrā se
kyā qāfila-e-abr-o-bārān nikalte haiñ
gul shāḳhoñ pe aate haiñ kis ālam-e-afsūñ se
kisī ġhaib kī vaadī se insān nikalte haiñ
ye ālam-e-hastī hai yā ḳhvāb kī bastī hai
jis samt chale jaa.eñ hairān nikalte haiñ
buniyād-e-ta.alluq hai ik vahm-e-shanāsā.ī
socho to sabhī chehre anjān nikalte haiñ
kis vaqt nahīñ rahtī āñkhoñ meñ vo mauj-e-ḳhūñ
kab dil se tire ġham ke paikān nikalte haiñ
jis harf ke likhne meñ ho dil kā lahū shāmil
us harf se fardā ke ruj.hān nikalte haiñ
hai harf-e-suḳhan apnā bas apnī hī ḳhalvat meñ
bāzār meñ yāroñ ke dīvān nikalte haiñ
duniyā kī mohabbat kā saudā na kabhī karnā
is saude ke āḳhir meñ nuqsān nikalte haiñ
lo sub.h-e-adam aa.ī ab hijr kī saa.at hai
shab-bhar kī sarā.e se mehmān nikalte haiñ
puchhe jo nishan koi anjaan nikalte hain
hum rah-guzaron se be-dhyan nikalte hain
dil taza marasim ke aaghaz se Darta hai
milne se bichhaDne ke imkan nikalte hain
kis samt ko jate hain ai rah-e-chaman aaKHir
lashkar gul-o-nikhat ke har aan nikalte hain
ghar rahiye ki bahar hai ek raqs balaon ka
is mausam-e-wahshat mein nadan nikalte hain
tum ishq ke kuche mein jaan nazr to kar dekho
marne se bhi jine ke unwan nikalte hain
is saya-e-mizhgan mein kuchh waqt guzara hai
hum par bhi un aankhon ke ehsan nikalte hain
hasti ki ye zanjiren ye jism ki diwaren
hum sath liye apna zindan nikalte hain
hum dekhte rahte hain is pyas ke sahra se
kya qafila-e-abr-o-baran nikalte hain
gul shaKHon pe aate hain kis aalam-e-afsun se
kisi ghaib ki wadi se insan nikalte hain
ye aalam-e-hasti hai ya KHwab ki basti hai
jis samt chale jaen hairan nikalte hain
buniyaad-e-talluq hai ek wahm-e-shanasai
socho to sabhi chehre anjaan nikalte hain
kis waqt nahin rahti aankhon mein wo mauj-e-KHun
kab dil se tere gham ke paikan nikalte hain
jis harf ke likhne mein ho dil ka lahu shamil
us harf se farda ke rujhan nikalte hain
hai harf-e-suKHan apna bas apni hi KHalwat mein
bazar mein yaron ke diwan nikalte hain
duniya ki mohabbat ka sauda na kabhi karna
is saude ke aaKHir mein nuqsan nikalte hain
lo subh-e-adam aai ab hijr ki saat hai
shab-bhar ki sarae se mehman nikalte hain
- Book : Kitab-e-Rafta (Pg. 137)
- Author : Firasat Rizvi
- Publication : Academy Bazyaft, Karachi Pakistan Lahore (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.