Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

puchhega jo wo rashk-e-qamar haal hamara

Hatim Ali Mehr

puchhega jo wo rashk-e-qamar haal hamara

Hatim Ali Mehr

pūchhegā jo vo rashk-e-qamar haal hamārā

ai 'mehr' chamak jā.egā iqbāl hamārā

saude meñ tirī zulf ke likhte haiñ jo ash.ār

hotā hai siyah nāma-e-a.amāl hamārā

abrū ishāra kiyā tum ne to huī iid

ai jaan yahī hai mah-e-shavval hamārā

har baar dikhātā hai junūñ ḳhāna-e-zanjīr

is ghar meñ guzārā huā har saal hamārā

aate vo kahte haiñ ki jaate haiñ bas ab ham

be-chain haiñ mañgvā.iye sukh-pāl hamārā

mazmūñ na bañdhā mū-e-kamar to vo bole

TeḌhā na huā shā.iroñ se baal hamārā

mahtāb se kahtā hai mirā chāñd TukḌā

ruḳhsār tirā saaf hai gaal hamārā

tum arsh hilāte ho qadam rakh ke zamīñ par

is chaal se dil ho gayā pāmāl hamārā

ik pal bhī judā dīda-e-tar se nahīñ hotā

ab aañkh parda huā rūmāl hamārā

yaañ ruuh pe hotā hai us āvāz sadma

legā shab-e-vasl meñ ghaḌiyāl hamārā

yaañ ganj-e-ma.ānī hai to vaañ sīm-o-zar ai 'mehr'

daulat vo baḳhīloñ hai ye maal hamārā

puchhega jo wo rashk-e-qamar haal hamara

ai 'mehr' chamak jaega iqbaal hamara

saude mein teri zulf ke likhte hain jo ashaar

hota hai siyah nama-e-amal hamara

abru ka ishaara kiya tum ne to hui id

ai jaan yahi hai mah-e-shawwal hamara

har bar dikhata hai junun KHana-e-zanjir

is ghar mein guzara hua har sal hamara

aate hi wo kahte hain ki jate hain bas ab hum

be-chain hain mangwaiye sukh-pal hamara

mazmun na bandha mu-e-kamar ka to wo bole

TeDha na hua shairon se baal hamara

mahtab se kahta hai mera chand ka TukDa

ruKHsar tera saf hai ya gal hamara

tum arsh hilate ho qadam rakh ke zamin par

is chaal se dil ho gaya pamal hamara

ek pal bhi juda dida-e-tar se nahin hota

ab aankh ka parda hua rumal hamara

yan ruh pe hota hai us aawaz ka sadma

ji lega shab-e-wasl mein ghaDiyal hamara

yan ganj-e-maani hai to wan sim-o-zar ai 'mehr'

daulat wo baKHilon ki hai ye mal hamara

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now