pyar ko pa kar jo mahrumi hui
pyaar ko pā kar jo mahrūmī huī
kuchh hamāre dil kī majbūrī huī
duur se sahmā huā bahr-e-ḳhamosh
dekhtā hai zindagī jaltī huī
hai abhī tābīr kī rañgat vahī
sūrateñ haiñ ḳhvāb kī badlī huī
mere kamre meñ sabhī chīzeñ haiñ aaj
zindagānī kī tarah bikhrī huī
aaj bhī yādoñ ke vīrāne meñ dost
terī sūrat hai zarā ubhrī huī
pyar ko pa kar jo mahrumi hui
kuchh hamare dil ki majburi hui
dur se sahma hua bahr-e-KHamosh
dekhta hai zindagi jalti hui
hai abhi tabir ki rangat wahi
suraten hain KHwab ki badli hui
mere kamre mein sabhi chizen hain aaj
zindagani ki tarah bikhri hui
aaj bhi yaadon ke virane mein dost
teri surat hai zara ubhri hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.