Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pyas baDhti hui ta-hadd-e-nazar pani tha

Ain Tabish

pyas baDhti hui ta-hadd-e-nazar pani tha

Ain Tabish

MORE BYAin Tabish

    pyaas baḌhtī huī tā-hadd-e-nazar paanī thā

    rū-ba-rū kaisā ajab manzar-e-hairānī thā

    rāsta band thā aur shauq-e-safar thā baaqī

    ek afsāna junūñ thā jo tūlānī thā

    ek ḳhushbū thī jo malbūs pe tābinda thī

    ek mausam thā mire sar pe jo tūfānī thā

    dam-ba-ḳhud ek tamāshā-e-fanā thā har-sū

    shor kartā huā ik shauq-e-jahāñbānī thā

    ḳhud-pasandī ajab vahm thā sab par taarī

    jaise koī bhī kisī na yahāñ saanī thā

    pyas baDhti hui ta-hadd-e-nazar pani tha

    ru-ba-ru kaisa ajab manzar-e-hairani tha

    rasta band tha aur shauq-e-safar tha baqi

    ek afsana junun ka tha jo tulani tha

    ek KHushbu thi jo malbus pe tabinda thi

    ek mausam tha mere sar pe jo tufani tha

    dam-ba-KHud ek tamasha-e-fana tha har-su

    shor karta hua ek shauq-e-jahanbani tha

    KHud-pasandi ka ajab wahm tha sab par tari

    jaise koi bhi kisi ka na yahan sani tha

    Source :
    • Book : dasht ajab hairanii ka shayar (Pg. 143)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now