Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qahr ki kyun nigah hai pyare

Anand Narayan Mulla

qahr ki kyun nigah hai pyare

Anand Narayan Mulla

MORE BYAnand Narayan Mulla

    qahr kyuuñ nigāh hai pyāre

    kyā mohabbat gunāh hai pyāre

    dil ko apnī jalva-gāh samajh

    aa nazar farsh-e-rāh hai pyāre

    pher ne jab se apnī nazar

    merī duniyā siyāh hai pyāre

    shak bhī kis par mirī mohabbat par

    jis ḳhud gavāh hai pyāre

    terī māsūm nazar qasam

    yahī vaj.h-e-gunāh hai pyāre

    do nigāheñ jahāñ pe mil jaa.eñ

    ishq shāh-rāh hai pyāre

    muñh jo detī thī shikāyat

    ab kidhar vo nigāh hai pyāre

    jo ba-zāhir nahīñ mirī jānib

    vo nazar be-panāh hai pyāre

    sach batā kuchh ḳhafā hai mujh se

    hayā sadd-e-rāh hai pyāre

    ajnabī ban rahī hai terī nazar

    ḳhatm kyā rasm o raah hai pyāre

    rāh-e-ulfat meñ Thaharnā kaisā

    dam bhī lenā gunāh hai pyāre

    dil shai aur nā-pasand tujhe

    apnī apnī nigāh hai pyāre

    nek irādoñ ke sañg-rezoñ par

    shāh-rāh-e-gunāh hai pyāre

    lab pe aatī hai jo hañsī ban kar

    ek aisī bhī aah hai pyāre

    ishq meñ vo bhī ek vaqt hai jab

    be-gunāhī gunāh hai pyāre

    aur 'mullā' ko kyā miTāte ho

    vo to yūñhī tabāh hai pyāre

    qahr ki kyun nigah hai pyare

    kya mohabbat gunah hai pyare

    dil ko apni hi jalwa-gah samajh

    aa nazar farsh-e-rah hai pyare

    pher li tu ne jab se apni nazar

    meri duniya siyah hai pyare

    shak bhi kis par meri mohabbat par

    jis ka tu KHud gawah hai pyare

    teri masum si nazar ki qasam

    yahi wajh-e-gunah hai pyare

    do nigahen jahan pe mil jaen

    ishq ki shah-rah hai pyare

    munh jo si deti thi shikayat ka

    ab kidhar wo nigah hai pyare

    jo ba-zahir nahin meri jaanib

    wo nazar be-panah hai pyare

    sach bata kuchh KHafa hai tu mujh se

    ya haya sadd-e-rah hai pyare

    ajnabi ban rahi hai teri nazar

    KHatm kya rasm o rah hai pyare

    rah-e-ulfat mein Thaharna kaisa

    dam bhi lena gunah hai pyare

    dil si shai aur na-pasand tujhe

    apni apni nigah hai pyare

    nek iradon ke sang-rezon par

    shah-rah-e-gunah hai pyare

    lab pe aati hai jo hansi ban kar

    ek aisi bhi aah hai pyare

    ishq mein wo bhi ek waqt hai jab

    be-gunahi gunah hai pyare

    aur 'mulla' ko kya miTate ho

    wo to yunhi tabah hai pyare

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    qahr ki kyun nigah hai pyare Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now