qarar pate hain aaKHir hum apni apni jagah
qarār paate haiñ āḳhir ham apnī apnī jagah
ziyāda rah nahīñ saktā koī kisī kī jagah
banānī paḌtī hai har shaḳhs ko jagah apnī
mile agarche ba-zāhir banī-banā.ī jagah
haiñ apnī apnī jagah mutma.in jahāñ sab log
tasavvurāt meñ mere hai ek aisī jagah
gilā bhī tujh se bahut hai magar mohabbat bhī
vo baat apnī jagah hai ye baat apnī jagah
kiye hue hai farāmosh tū jise 'bāsir'
vahī hai asl meñ terā maqām terī jagah
qarar pate hain aaKHir hum apni apni jagah
ziyaada rah nahin sakta koi kisi ki jagah
banani paDti hai har shaKHs ko jagah apni
mile agarche ba-zahir bani-banai jagah
hain apni apni jagah mutmain jahan sab log
tasawwuraat mein mere hai ek aisi jagah
gila bhi tujh se bahut hai magar mohabbat bhi
wo baat apni jagah hai ye baat apni jagah
kiye hue hai faramosh tu jise 'basir'
wahi hai asl mein tera maqam teri jagah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.