qatl amir-e-shahr ka laDla beTa kar gaya
qatl amir-e-shahr ka laDla beTa kar gaya
Mirza Shariq Laharpuri
MORE BYMirza Shariq Laharpuri
qatl amīr-e-shahr kā lāDlā beTā kar gayā
jurm magar ġharīb ke laḳht-e-jigar ke sar gayā
sub.h se shaam ho ga.ī vaqt kī dhūp-chhāñv meñ
lamha-ba-lamha 'umr kā saarā safar guzar gayā
kaisā vo hogā sang-e-ġham sahm ke jis ke ḳhauf se
aa.inā chhuT ke farsh par chāroñ taraf bikhar gayā
laakh ġharīb huuñ magar phir bhī huuñ ek aadmī
kaise mire zamīr kā aaj vo mol kar gayā
amn-o-sukūñ ke gaañv meñ mast-magan thā maiñ magar
kaun mirī hayāt ko ḳhāna-ba-dosh kar gayā
aap kī qadr-o-manzilat dekh shab-e-urūj meñ
vaqt bhī ehtirām meñ chal na sakā Thahar gayā
merī ridā kī fikr kyā tan kī qabā kī fikr kyā
aaj tumhāre shahr se 'shāriq'-e-dīda-var gayā
qatl amir-e-shahr ka laDla beTa kar gaya
jurm magar gharib ke laKHt-e-jigar ke sar gaya
subh se sham ho gai waqt ki dhup-chhanw mein
lamha-ba-lamha 'umr ka sara safar guzar gaya
kaisa wo hoga sang-e-gham sahm ke jis ke KHauf se
aaina chhuT ke farsh par chaaron taraf bikhar gaya
lakh gharib hun magar phir bhi hun ek aadmi
kaise mere zamir ka aaj wo mol kar gaya
amn-o-sukun ke ganw mein mast-magan tha main magar
kaun meri hayat ko KHana-ba-dosh kar gaya
aap ki qadr-o-manzilat dekh shab-e-uruj mein
waqt bhi ehtiram mein chal na saka Thahar gaya
meri rida ki fikr kya tan ki qaba ki fikr kya
aaj tumhaare shahr se 'shaariq'-e-dida-war gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.