qayam-gah na koi na koi ghar mera
qayām-gāh na koī na koī ghar merā
azal se tā-ba-abad sirf ik safar merā
ḳhirāj mujh ko diyā aane vaalī sadiyoñ ne
buland neze pe jab hī huā hai sar merā
atā huī hai mujhe din ke saath shab bhī magar
charāg shab meñ jilā detā hai hunar merā
sabhī ke apne masā.il sabhī kī apnī anā
pukārūñ kis ko jo de saath umr bhar merā
maiñ ġham ko khel samajhtā rahā huuñ bachpan se
bharam ye aaj bhī rakh lenā chashm-e-tar merā
mire ḳhudā maiñ tirī raah jis ghaḌī chhoḌūñ
usī ghaḌī se muqaddar ho dar-ba-dar merā
qayam-gah na koi na koi ghar mera
azal se ta-ba-abad sirf ek safar mera
KHiraj mujh ko diya aane wali sadiyon ne
buland neze pe jab hi hua hai sar mera
ata hui hai mujhe din ke sath shab bhi magar
charag shab mein jila deta hai hunar mera
sabhi ke apne masail sabhi ki apni ana
pukarun kis ko jo de sath umr bhar mera
main gham ko khel samajhta raha hun bachpan se
bharam ye aaj bhi rakh lena chashm-e-tar mera
mere KHuda main teri rah jis ghaDi chhoDun
usi ghaDi se muqaddar ho dar-ba-dar mera
- Book : khushboo ki rishtadari (Pg. 55)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.