qayamaten guzar gain riwayaton ki soch mein
qayāmateñ guzar ga.iiñ rivāyatoñ kī soch meñ
ḳhalish jo thī vahī rahī mohabbatoñ kī soch meñ
ye ab khulā ki us kī shā.erī meñ merī baat kā
jo rañg ḳhaas thā miTā izāfatoñ kī soch meñ
maiñ apne chehra-e-junūñ ko aa.ine meñ dekh luuñ
to aks bujh na jā.egā haqīqatoñ kī soch meñ
maiñ apnī dhuup chhāñv kī zamānateñ na de sakūñ
to aap kyuuñ jaleñ-bujheñ tamāzatoñ kī soch meñ
ajab mazāq us kā thā ki sar se paañv tak mujhe
vafāoñ se bhigo diyā nadāmatoñ kī soch meñ
ga.ī rutoñ ne hañs ke rāstoñ ke zaḳhm bhar diye
'humairā' aaj kaun thā masāfatoñ kī soch meñ
qayamaten guzar gain riwayaton ki soch mein
KHalish jo thi wahi rahi mohabbaton ki soch mein
ye ab khula ki us ki shaeri mein meri baat ka
jo rang KHas tha miTa izafaton ki soch mein
main apne chehra-e-junun ko aaine mein dekh lun
to aks bujh na jaega haqiqaton ki soch mein
main apni dhup chhanw ki zamanaten na de sakun
to aap kyun jalen-bujhen tamazaton ki soch mein
ajab mazaq us ka tha ki sar se panw tak mujhe
wafaon se bhigo diya nadamaton ki soch mein
gai ruton ne hans ke raston ke zaKHm bhar diye
'humaira' aaj kaun tha masafaton ki soch mein
- Book : Urdu International (Pg. 130)
- Author : Ashfaq Hussain
- Publication : 9, Thirty fifth Street, 2, Toronto, Ontario, Canada M8w 3J8 (Nov. Dec. Jan. 1982, Volume 1, No.2)
- Edition : Nov. Dec. Jan. 1982, Volume 1, No.2
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.