qismat apni aisi kachchi nikli hai
qismat apnī aisī kachchī niklī hai
har mahfil se bas tanhā.ī niklī hai
ḳhat us ke jab aaj jalāne baiThā to
māchis kī tiilī bhī siilī niklī hai
shor-sharāba rahtā thā jis āñgan meñ
aaj vahāñ se bas ḳhāmoshī niklī hai
bhūkā bachcha dekhā to in āñkhoñ se
aañsū kī phir ek nadī sī niklī hai
apnī sūrat kī parteñ jab kholīñ to
apnī sūrat us ke jaisī niklī hai
maiñ ne bhī dekhā hai terī rahmat ko
tūfānoñ se bach ke kashtī niklī hai
dil TuuTā to 'mīt' samajh meñ ye aayā
ishq vafā sab ek pahelī niklī hai
qismat apni aisi kachchi nikli hai
har mahfil se bas tanhai nikli hai
KHat us ke jab aaj jalane baiTha to
machis ki tili bhi sili nikli hai
shor-sharaba rahta tha jis aangan mein
aaj wahan se bas KHamoshi nikli hai
bhuka bachcha dekha to in aankhon se
aansu ki phir ek nadi si nikli hai
apni surat ki parten jab kholin to
apni surat us ke jaisi nikli hai
main ne bhi dekha hai teri rahmat ko
tufanon se bach ke kashti nikli hai
dil TuTa to 'mit' samajh mein ye aaya
ishq wafa sab ek paheli nikli hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.