rah-e-wafa se main ek gam bhi haTa to nahin
rah-e-vafā se maiñ ik gaam bhī haTā to nahīñ
lahūluhān huā huuñ magar Darā to nahīñ
nazar meñ shā.iba-e-ḳhauf kis liye aa.e
ye sail-e-jabr hujūm-e-barahna-pā to nahīñ
khiñchāv hotā hai mahsūs ḳhuuñ ke qatroñ meñ
ye rūh-e-asr kahīñ rūh-e-karbalā to nahīñ
'ajab tanāv hai māhaul meñ kaheñ kis se
kahīñ pe aaj koī hādsa huā to nahīñ
laboñ pe harf-e-vafā hai to phir nigāhoñ meñ
ye ḳhauf kyuuñ ho kahīñ koī dekhtā to nahīñ
rah-e-wafa se main ek gam bhi haTa to nahin
lahuluhan hua hun magar Dara to nahin
nazar mein shaiba-e-KHauf kis liye aae
ye sail-e-jabr hujum-e-barahna-pa to nahin
khinchaw hota hai mahsus KHun ke qatron mein
ye ruh-e-asr kahin ruh-e-karbala to nahin
'ajab tanaw hai mahaul mein kahen kis se
kahin pe aaj koi hadsa hua to nahin
labon pe harf-e-wafa hai to phir nigahon mein
ye KHauf kyun ho kahin koi dekhta to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.