Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahta to hai us bazm mein charcha mere dil ka

Zaheer Dehlvi

rahta to hai us bazm mein charcha mere dil ka

Zaheer Dehlvi

MORE BYZaheer Dehlvi

    rahtā to hai us bazm meñ charchā mire dil

    achchhā hai ye achchhā ho na saudā mire dil

    hai josh-e-qalaq ma.arka-ārā mire dil

    hañgāma hai dil par mire barpā mire dil

    hai sair nigāhoñ meñ shabistān adū

    kyā mujh se chhupāte ho tamāshā mire dil

    ik mashġhala Thahrī hai tumheñ ranjish-e-bejā

    ik khel huā tum ko satānā mire dil

    be-ḳhud huuñ tasavvur meñ kisī barq-e-adā ke

    sarmāya-e-taskīñ hai taḌapnā mire dil

    barbād na jā.egī 'zahīr' apnī musībat

    āḳhir to kahīñ sabr paḌegā mire dil

    rahta to hai us bazm mein charcha mere dil ka

    achchha hai ye achchha ho na sauda mere dil ka

    hai josh-e-qalaq marka-ara mere dil ka

    hangama hai dil par mere barpa mere dil ka

    hai sair nigahon mein shabistan adu ki

    kya mujh se chhupate ho tamasha mere dil ka

    ek mashghala Thahri hai tumhein ranjish-e-beja

    ek khel hua tum ko satana mere dil ka

    be-KHud hun tasawwur mein kisi barq-e-ada ke

    sarmaya-e-taskin hai taDapna mere dil ka

    barbaad na jaegi 'zahir' apni musibat

    aaKHir to kahin sabr paDega mere dil ka

    Source :
    • Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 192)
    • Author : Hasrat Mohani
    • Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
    • Edition : 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now