rahzanon ke hath sara intizam aaya to kya
rahzanoñ ke haath saarā intizām aayā to kyā
phir vafā ke mujrmoñ meñ merā naam aayā to kyā
mere qātil tujh ko āḳhir kaun samjhā.e ye baat
par-shikasta ho ke koī zer-e-dām aayā to kyā
phir vo bulvāyā gayā hai karbalā-e-asr meñ
kūfiyoñ ko phir se shauq-e-ehtimām aayā to kyā
kho chukī saarī basīrat so chuke ahl-e-kitāb
āsmānoñ se koī taaza payām aayā to kyā
jab ki un āñkhoñ kī mash.al baam par raushan nahīñ
shahr meñ yāsir koī māh-e-tamām aayā to kyā
rahzanon ke hath sara intizam aaya to kya
phir wafa ke mujrmon mein mera nam aaya to kya
mere qatil tujh ko aaKHir kaun samjhae ye baat
par-shikasta ho ke koi zer-e-dam aaya to kya
phir wo bulwaya gaya hai karbala-e-asr mein
kufiyon ko phir se shauq-e-ehtimam aaya to kya
kho chuki sari basirat so chuke ahl-e-kitab
aasmanon se koi taza payam aaya to kya
jab ki un aankhon ki mashal baam par raushan nahin
shahr mein yasir koi mah-e-tamam aaya to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.