Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ranj yun rah-e-masafat mein mile

Navin Joshi

ranj yun rah-e-masafat mein mile

Navin Joshi

MORE BYNavin Joshi

    rañj yuuñ rāh-e-masāfat meñ mile

    kuchh kamā.e kuchh virāsat meñ mile

    ḳhvāb tak meñ āj-kal risne lage

    zaḳhm ham ko jo haqīqat meñ mile

    ab nahīñ hai taab dil se milne

    kyā pata vo kaisī hālat meñ mile

    ek duuje se raqābat thī jinheñ

    ek duuje hirāsat meñ mile

    jo añdheroñ meñ na shā.ista rahe

    vo ujāloñ se ḳhajālat meñ mile

    falsafe jo na sadāqat meñ mile

    vo sabhī ham ko zarūrat meñ mile

    is dafa to zindagī jaldī meñ thī

    kah do aglī baar fursat meñ mile

    ranj yun rah-e-masafat mein mile

    kuchh kamae kuchh wirasat mein mile

    KHwab tak mein aaj-kal risne lage

    zaKHm hum ko jo haqiqat mein mile

    ab nahin hai tab dil se milne ki

    kya pata wo kaisi haalat mein mile

    ek duje se raqabat thi jinhen

    ek duje ki hirasat mein mile

    jo andheron mein na shaista rahe

    wo ujalon se KHajalat mein mile

    falsafe jo na sadaqat mein mile

    wo sabhi hum ko zarurat mein mile

    is dafa to zindagi jaldi mein thi

    kah do agli bar fursat mein mile

    Source :
    • Book : Word File Mail By Salim Saleem
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now