raunaq-e-arz-o-sama shams o qamar main hi hun
raunaq-e-arz-o-samā shams o qamar maiñ hī huuñ
ġhaur se dekhiye tā-hadd-e-nazar maiñ hī huuñ
ho liye saare tamāshā.ī kisī manzil ke
rah gayā maiñ so sar-e-rāhguzar maiñ hī huuñ
mujh se mat pūchh ki kis tarah se ujḌī bastī
mujh ko bas dekh le rūdād-o-ḳhabar maiñ hī huuñ
maiñ bhī muhtāj-e-masīhā.ī tirā huuñ lekin
mat idhar aa ki mirī jaan idhar maiñ hī huuñ
mire malbūs haiñ kim-ḳhvāb ke paivand lage
ḳhvāb meñ shaam kā ta.abīr-e-sahar maiñ hī huuñ
kashtiyāñ likhtī raheñ roz kahānī apnī
mauj kahtī hī rahī zer-o-zabar maiñ hī huuñ
vus.at-e-kārgah-e-shīsha-garī ma.āz-allāh
ḳhaak maiñ jaam bhī maiñ dast-e-hunar maiñ hī huuñ
raunaq-e-arz-o-sama shams o qamar main hi hun
ghaur se dekhiye ta-hadd-e-nazar main hi hun
ho liye sare tamashai kisi manzil ke
rah gaya main so sar-e-rahguzar main hi hun
mujh se mat puchh ki kis tarah se ujDi basti
mujh ko bas dekh le rudad-o-KHabar main hi hun
main bhi muhtaj-e-masihai tera hun lekin
mat idhar aa ki meri jaan idhar main hi hun
mere malbus hain kim-KHwab ke paiwand lage
KHwab mein sham ka tabir-e-sahar main hi hun
kashtiyan likhti rahen roz kahani apni
mauj kahti hi rahi zer-o-zabar main hi hun
wusat-e-kargah-e-shisha-gari maaz-allah
KHak main jam bhi main dast-e-hunar main hi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.