ridaen chalen KHak-danon ki jaanib
ridā.eñ chaleñ ḳhāk-dānoñ kī jānib
vafā.eñ khule sar dukānoñ kī jānib
tire har sitam par yūñhī be-irāda
nazar uTh ga.ī āsmānoñ kī jānib
ajab hai ye kār-e-suḳhan sher-goī
dhakele hai ratbul-lisānoñ kī jānib
nazar sarsarā.ī badan par yuuñ mere
baḌhe saañp jaise ḳhazānoñ kī jānib
mirā ishq kahtā hai mujh se ki aa jā
tujhe le chalūñ maiñ uḌānoñ kī jānib
abhī tifl-e-maktab huuñ aur nā-ahl bhī
kidhar le chale imtihānoñ kī jānib
shab-e-tār kachchā ghaḌā ek dariyā
maiñ baḌhne lagī dāstānoñ kī jānib
to malbe se mere hī ta.amīr hogā
girā ke mujhe baḌh makānoñ kī jānib
merī raah chunñā ki ab maiñ ravāñ huuñ
vafāoñ ke raushan nishānoñ kī jānib
ye nād-e-alī kā ajab mo.ajiza thā
sabhī tiir palTe kamānoñ kī jānib
ridaen chalen KHak-danon ki jaanib
wafaen khule sar dukanon ki jaanib
tere har sitam par yunhi be-irada
nazar uTh gai aasmanon ki jaanib
ajab hai ye kar-e-suKHan sher-goi
dhakele hai ratbul-lisanon ki jaanib
nazar sarsarai badan par yun mere
baDhe sanp jaise KHazanon ki jaanib
mera ishq kahta hai mujh se ki aa ja
tujhe le chalun main uDanon ki jaanib
abhi tifl-e-maktab hun aur na-ahl bhi
kidhar le chale imtihanon ki jaanib
shab-e-tar kachcha ghaDa ek dariya
main baDhne lagi dastanon ki jaanib
to malbe se mere hi tamir hoga
gira ke mujhe baDh makanon ki jaanib
meri rah chunna ki ab main rawan hun
wafaon ke raushan nishanon ki jaanib
ye nad-e-ali ka ajab moajiza tha
sabhi tir palTe kamanon ki jaanib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.