rit par ek nishan hai shayad
ret par ik nishān hai shāyad
ye hamārā makān hai shāyad
shor ke biich so rahī hai zamīñ
muddatoñ kī thakān hai shāyad
dard kā ishtihār chaspāñ hai
zindagī kī dukān hai shāyad
tanhā tanhā nikal paḌe panchhī
ahd-e-nau kī uḌaan hai shāyad
aql kahtī hai mar chukā rishta
shauq kahtā hai jaan hai shāyad
vo jahāñ par pighal rahī hai dhuup
haañ vahīñ sā.ebān hai shāyad
aaj vo muskurā ke milte haiñ
aaj phir imtihān hai shāyad
ret par ek nishan hai shayad
ye hamara makan hai shayad
shor ke bich so rahi hai zamin
muddaton ki thakan hai shayad
dard ka ishtihaar chaspan hai
zindagi ki dukan hai shayad
tanha tanha nikal paDe panchhi
ahd-e-nau ki uDan hai shayad
aql kahti hai mar chuka rishta
shauq kahta hai jaan hai shayad
wo jahan par pighal rahi hai dhup
han wahin saeban hai shayad
aaj wo muskura ke milte hain
aaj phir imtihan hai shayad
- Book : Aathwa.n Darwaza (Pg. 90)
- Author : muzaffar abdalii
- Publication : arshia publication A-170 ground Floor-3 surya apartment dilshan colony delhi-110095 (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.